Friday, January 18, 2019

Hazrat Ali (R.A) Sayings 41-45


#41

Momin Ka Sabse Acha 
Amal Ye Hai Ke Vo Dusro
 Ke Ghaltiyo Ko Nazar 
Andaz Karde

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#42

Pareshani Halaath Se 
Nahi Qayalat Se Paida 
Hoti Hai 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#43

Jab Tumhare Pas Rizq 
Tumhare Zaroriyat Se Zyada 
Ho To Foran Samajh Jana Ke 
Ye Kisi Ka Haq Hai Jo 
Tumhare Pass Amanat Hai 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#44

Us Shakhs Main Hargiz 
Dilchaspi Na Lo Jo Tum Se 
Doori Ikhtiyar Karta Ho

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#45

Jo Zara Se Baat Par 
Dost Na Rahe Vo 
Dost Tha He Nahi 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


Hazrat Ali (R.A) Sayings 36-40


#36

Do Cheezon Ke Sawab Ko 
      Toula Nahi Ja Sakta 
(1)Maaf Kar Dena
         (2) Adal(Insaaf) Karna 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#37

Tumhare Rishton Me Sab Se 
Kamzoor Rishta Tumhare 
Jisam Aur Tumhare Rooh
 Ka Hai,Na Jane Kab 
Aur Kaha Toot Jaye

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#38

Wo Shaqs Jo Apne Ap Ko 
Pasand Karta Ho Wo Dusro Ko 
Na Pasand Hojata Hai 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#39

Har Baat Per Haan Me Haan 
Milana Munafiqoon(Farebion) 
Ki Adat Hai 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#40

Kisi Ke Khuloos Aur Pyar Ko 
Uski Bewakoofi Mat Samhjo 
Warna Kisi Din Tum Khuloos 
Aur Pyar Talash Karoge Aur 
Log Tumhe Bewakoof
Samhjhege

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


Hazrat Ali (R.A) Sayings 31-35


#31

Tajurba Insan Ko Ghalat Faisle 
Se Bachata Hai 
Magar Tajurba Ghalat Faisle 
Se He Hasil Hota Hai 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#32

Jo Shaks Khwaahisho’n Ke 
Peechay Deewaano’n Ki 
Taraah Bhaagta Hai,Wo Maut 
Se Thokar Khaata Hai 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#33

Khuda Se Daro Ke Allah Ki 
Qasam, Uss Ne Iss Had Tak 
Tumhaaray Gunaaho’n Ki 
Parda Poshi Ki Hai Ke Goyaa 
Tumhai’n Baksh He Dia Ho 

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#34

Duniya Ka Sab Say Khobsurat 
Poda Mohabbat Ka Hai Jo 
Zameen Main Nahi Balkah 
Dilon Main Ugta Hai

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#35

"Wo Ghaate Me Hai Jo Duniya 
He Me Mashgool Raha Aur 
Apna Aakherat Ka Hissa
Kho Baitha"

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


Hazrat Ali (R.A) Sayings 21-25


#21

Insan Ke Tamam 
Pareshaniyan Dou 
Baaton Ke Waja Se Hai
-Taqdeer Se Zyada Chahta Hai
-Waqt Se Pehly Chahta Hai

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#22

Taqwa Ye Hai Ki Insan Har Us 
Cheez Se Parhez Kare Jo Usko 
Gunahgar Banae

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#23

Duniya Main Jo Ameer Hai 
Aur Khairat Nahi Karte, 
Aakhirat Main Woh Sabse 
Zyada Gareeb Honge

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#24

 Insaniyat Bahot Bada Khazana 
Hai Usey "Libaas" Mein Nahi 
"Insan" Mein Talash Karo

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#25

Hasad Karne Wala Maut Se 
Pehlay Mar Jata Hai

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


Hazrat Ali (R.A) Sayings 51-55

#51

3 Insan 3 Chezon Se 
Mehroom Rahenge

1.Ghusay Wala Durust
Faisly Se
2.Jhoota Izzat Se
3.Jald Baaz Kamyabi Se

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#52

Naseehat Dusro Ke Haal 
Per Ghaour Karne Se Hasil 
Hoti Hai

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#53

Allah Se Ghafil Na
Ho Vo Tum Se
Ghafil Nahi

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#54

Jaahil Na To Apni Kamzori Ko
Samajhta Hai Na To Nasihat
Karnewalo'n Ki Baato'n Ko
Qubool Karta Hai

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#55

Har Us Dost Per Bharosa
Karo Jo Mushkil Me
Tumhare Kaam Aya Ho

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


Muhammad Mustafa ﷺ Sayings 1-5


#1

Tum Me Behtar Vo Hai 
Jiski Wajah Se Zyada
Logo Ko Fayda
Pahunche

Muhammad Mustafa ﷺ


#2

"Beshak Kaamyaabi Usey 
Milegi Jo Musibato'n Par 
Bhi Sabr Kare"

Muhammad Mustafa ﷺ 


#3

Ek Waqt Aane Wala Hai
 Jab Log Neki Per Sharam
Aur Gunah Per Faqar
Karenge

Muhammad Mustafa ﷺ


#4

Apni Maa Ke Samne Uff
Tak Bhi Na Karo Jab Bhi 
Baat Kaho To Ek Ghulam
Bankar Baat Karo

Muhammad Mustafa ﷺ


#5

Salam Me Pahel Karne
 Wala Takabbur Se Paak
Hota Hai

Muhammad Mustafa ﷺ


Friday, January 11, 2019

Hazrat Ali (R.A) Sayings 76-80

#76

Khauf Iss Cheez Ka Naam
Hai Ke Insaan Apnay “Nafs” 
Ko Gunahoon Aur Allah
Azwajal Ki Nafarmaniyon 
Se Rokay Rahe.

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#77

Kisi Ko Us Ki Zaat Aur 
Libbas Ki Wajah Se
HaQeer Na Samajhna 
Kyun Ke Tum Ko Dene 
Wala Aur Us Ko Dene
Wala Wo Ek Allah He Hai.

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)

Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu)

#78

Nafrat Gunaah Se Karo
Gunaah Karne Waale Se 
Nahi, Ho Sakta Hai Wo 
Tumhari Mohabbat Paa 
Kar Gunaah Karna Chor De.

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#79

Beshak Duniya Aur Akhirat 
Ki Misaal Aisi Hai Jaise Ek 
Shaks Ki Do Biwian Hoon 
Ek Ko Razi Karta Hai To 
Dusri Rooth Jati Hai

Hazrat Ali 
(RaziAllahu Anhu)


#80

Agar Koi Tumse Bhalaye
Ki Umeed Rakhay To Usay 
Mayoos Mat Karo, Kyun 
Ke Logo Ki Zarurat Ka 
Tumse Wabasta Hona Tum 
Par Allah Ka Khas Karam
Hai.

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)







Sunehri Batein 16-20

#16

Umda Akhlaq Aur Umda 
Kirdaar Aisa Heera Hai 
Jo Har Pathar Ko Tarash 
Sakta Hai


#17

Be Amaal Aalim Paras
Pathar Ki Tarha Hai, Jo 
Doosron Ko Sona Banata 
Hai Magar Khud Pathar 
Rehta Hai.


#18


Jitna Marzi Padhlo
Sawal Namaz Ka
He Hona Hai


#19

Behtareen Insaan Apni
Meethi Zubaan Se Jaana 
Jata Hai,

Warna Achchi Batein To 
Deewaron Par Bhi Likhi 
Hoti Hai.


#20

Khushi Insaan Ko Itna 
Nahi Sikhati Jitna Ke 
Gham.