Friday, January 11, 2019

Hazrat Ali (R.A) Sayings 76-80

#76

Khauf Iss Cheez Ka Naam
Hai Ke Insaan Apnay “Nafs” 
Ko Gunahoon Aur Allah
Azwajal Ki Nafarmaniyon 
Se Rokay Rahe.

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#77

Kisi Ko Us Ki Zaat Aur 
Libbas Ki Wajah Se
HaQeer Na Samajhna 
Kyun Ke Tum Ko Dene 
Wala Aur Us Ko Dene
Wala Wo Ek Allah He Hai.

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)

Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu)

#78

Nafrat Gunaah Se Karo
Gunaah Karne Waale Se 
Nahi, Ho Sakta Hai Wo 
Tumhari Mohabbat Paa 
Kar Gunaah Karna Chor De.

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)


#79

Beshak Duniya Aur Akhirat 
Ki Misaal Aisi Hai Jaise Ek 
Shaks Ki Do Biwian Hoon 
Ek Ko Razi Karta Hai To 
Dusri Rooth Jati Hai

Hazrat Ali 
(RaziAllahu Anhu)


#80

Agar Koi Tumse Bhalaye
Ki Umeed Rakhay To Usay 
Mayoos Mat Karo, Kyun 
Ke Logo Ki Zarurat Ka 
Tumse Wabasta Hona Tum 
Par Allah Ka Khas Karam
Hai.

Hazrat Ali
(RaziAllahu Anhu)







No comments:

Post a Comment